anchoring shayari for college function
#1
Video 

i want to learn anchoring shayri welcome guest shayri and speeches
Reply
#2
I need Ancoring sample for prise distribution and motivation shayri
Reply
#3
I want anchoring the annual dayfunction so i need shayari
Reply
#4
I need shayris for welcomimg audience and guests in starting of the speech by anchor
Reply
#5
Shero Shayari : :

1 CHALTE RAHIYE

HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE.

2 Kabhi Zameen Mat Chodna:

Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.

3 Kuch Ker Kay Dikha Diya.....

Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay, Roz mar mitney walay naam bohut hain.

4 Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai:

Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.

5 Taqdeer Ka Suraj:

Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega.

6 Yun to umar hai bahut choti si,
Par har chote se lamhe ko tu ji bhar ke ji le,
Khwab si is zindagi mein, Khwab aise bun,
Ki leke rukhsat is jahaan se khule jab aankhein teri
Tab kar khuda se saamna kabhi jhuke na teri nazar......

7 HAWAON SE KEH DO APNI AUKAAD MEIN RAHE
HUM PAIRO SE NAHI HOSLO SE UDA KARTE HAIN

8. SAPNE NAHI TOOTA KARTE

SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE

9. Nigaho Mein Manzil

Nigaho mein manzil thi,
gire aur gir kar sambhalte rahe,
hawao ne bahut koshish ki,
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe.

10. Khwaab Zinda Rakh

agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.

11. Tujhe Mile Tu Jo Chahe

Abre Rehmat Teri Chokhat Pe Barasti Nazar Aye
Har Lamha Teri Taqdir Sawarti nazar Aye
Bin Mange Tujhe Mile Tu Jo Chahe
Dua Khud Tere Hathon Ko Tarasti Nazar Aye

12. Seekh

saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se

13. Udaan-hausla

Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai

14. Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein

zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.

15. Raah

raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain
Reply
#6
AsliMasti
Asli Situations Shayari

Notice a situation before each shayari, read carefully to enjoy this shayari to its fullest! Have fun!

1)
Situation: You wanna tell your friends who your favorite heroine is.

" Chad gaya mujh par uska jaadu
Jab dekha maine use sadak ke baaju
Dil hotha hai kyoo mera bekaabu
Dil hotha hai kyoo mera bekaabu
Jab dekhoo main tujhe taabu "....


2)
Situation: You wanna tell your friends that love cannot be achieved by force.....

" Shareefo mein koyi chor nahi hotha
kavvo mein koyi mor nahi hotha
naya patang ko koyi dor nahi hotha
naya patang ko koyi dor nahi hotha
are yaaro... ishq par koyi zor nahi hotha"


3)
Situation: You are waiting desperately for your lover and she suddenly turns up....

" Kaate nahi kat the hai lamhe intezar ke
Kaate nahi kat the hai lamhe intezar ke
Nazre jama ke baithe hai rasthe pe yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
dil ne kaha dekhe jo jalw-e-husn yaar ke
laaya hai koun inhe palak se uthaar ke "


4)
Situation : You have not written a letter to your mehbooba and then she is pizzed off withyou for the same, so you have to patao her...

" Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
hum aapko khath kaise likhe aab jo humare dil me ho "


5)
Situation: You have to praise a potti like anything .......

" Eed ke din aap khadi na hone chhat par
Eed ke din aap khadi na hona chhat par
kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar "


6)
Situation: This sher is for a guy who is proud to be a shameless person......

" Besharmi tho use kahte hai jo sharam se sharma jaaye
Besharmi tho use kahte hai jo sharam se sharma jaaye
Hum ithne besharam hai, hum ithne besharam hai ki besharmi humse sharma jaaye"....


7)
Situation: You are anchoring a show and there is a situation wherein nobody is clapping at the end of each item then you say ......

" Wo gulab hi kya hai jisme laali naho
Wo gulshan hi kya hai jisme maali naho
Wo gulab hi kya hai jisme laali naho
Wo gulshan hi kya hai jisme maali naho
Wo SASURAL hi kya kai jisme SAALI naho
Are yaaro wo program hi kya hai jisme Taali naho "...

8)
Situation: You are desperate to go to your mehbooba's place and you write a sher like ....

" Khuda kare haseeno ke baap mar jaaye
Aur isee bahaane hum unke ghar jaaye
Aisa math kar ye maha paap hoga
Aisa math kar ye maha paap hoga
tu bhi kisi din haseena ka baap hoga "

9)
Situation: You have to praise the girl in front of you to patao her....

" Pathhi pathhi (leaf) gulab ho jaathi
Har kali mehr-e-khaab ho jaathi
tumne daali naa mehe-fisha nazre
varna shabnam sharaab ho jaathi"

10)
Situation : A girl is too proud of her beauty so you have to teach her a lesson

" Patthi Patthi gulab kya hogi
Har kali mehr-khaab kya hogi
Jisne dekhi ho laakho haseen
uski neeyath kya kharab hogi "
Reply

Important Note..!

If you are not satisfied with above reply ,..Please

ASK HERE

So that we will collect data for you and will made reply to the request....OR try below "QUICK REPLY" box to add a reply to this page
Tagged Pages: shayari in college seminars, anchoring situations shayari, ancoring karte waqt shayari,
Popular Searches: fairwellanchoring shayri, welcom sayari for ancoring, who is sapna vyas, welcome shayari for an anker in college, ancoring costumes, paryavaran par ghosh vakya, sendup shayri,

[-]
Quick Reply
Message
Type your reply to this message here.

Image Verification
Please enter the text contained within the image into the text box below it. This process is used to prevent automated spam bots.
Image Verification
(case insensitive)

Possibly Related Threads...
Thread Author Replies Views Last Post
  free download college alumni project in php 6 19,366 02-12-2018, 07:06 PM
Last Post:
  anchoring script for qawwali 3 5,885 30-11-2018, 08:38 PM
Last Post: nishtha madaan
  anchoring script for guest lecture in college 3 4,339 04-10-2018, 05:46 PM
Last Post: Guest
  baptism function anchoring script 2 4,830 24-07-2018, 07:26 PM
Last Post: Ameesha Nelbi
  free download source code of online college magazine 5 17,599 29-06-2018, 10:09 AM
Last Post: Guest
  anchoring script for farewell party in college in pdf 5 5,271 14-03-2018, 07:30 PM
Last Post: Guest
  anchoring script for baptism 5 2,923 25-02-2018, 12:07 AM
Last Post: Guest
  free download college website project in html with source code 2 4,604 24-02-2018, 10:46 AM
Last Post: Guest
  cultural event anchoring script in bangla pdf 3 4,841 27-11-2017, 09:30 AM
Last Post: jaseela123d
  shayari for anchoring in dance show 4 5,265 17-11-2017, 09:34 AM
Last Post: [email protected]

Forum Jump: